aankhon se jo ojhal hai wo mahbub hi hoga
āñkhoñ se jo ojhal hai vo mahbūb hī hogā
ye ḳhvāb agar ḳhuub hai to ḳhuub hī hogā
kyā chiiz chhupātā hai batā to sahī qāsid
lā haath dikhā haath meñ maktūb hī hogā
gar kī hai mohabbat to uThā.egā ḳhasāra
jab jurm kiyā hai to vo ma.atūb hī hogā
vo aaj nahīñ kal sahī toḌegā takabbur
allāh kā banda hai to mar.ūb hī hogā
ik daur meñ dīvānī huī jaatī thiiñ is kī
ye itr abhī tak tumheñ marġhūb hī hogā
aankhon se jo ojhal hai wo mahbub hi hoga
ye KHwab agar KHub hai to KHub hi hoga
kya chiz chhupata hai bata to sahi qasid
la hath dikha hath mein maktub hi hoga
gar ki hai mohabbat to uThaega KHasara
jab jurm kiya hai to wo matub hi hoga
wo aaj nahin kal sahi toDega takabbur
allah ka banda hai to marub hi hoga
ek daur mein diwani hui jati thin is ki
ye itr abhi tak tumhein marghub hi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.