aankhon se koi mere kahin KHwab le gaya
āñkhoñ se koī mere kahīñ ḳhvāb le gayā
yā'nī tamām halqa-e-ahbāb le gayā
chheḌā hī thā sitār pe ik naġhma-e-hayāt
hāthoñ se vaqt chhīn ke mizrāb le gayā
aañsū kī ek buuñd kaleja nigal ga.ī
patthar ko ek qatra-e-sīmāb le gayā
dil kī kitāb lūTne vaalā bhī ḳhuub thā
dilchasp jo thā sab se vahī baab le gayā
jal-bujh ke rah gayā hai har ik yaad kā charāġh
chun chun ke vaqt gauhar-e-nāyāb le gayā
har gaam par lagī thī yahāñ rahzanoñ kī bhiiḌ
jis ke lagā jo haath vo asbāb le gayā
qātil ke ruup meñ vo kashish thī ki ai 'kañval'
maqtal meñ mujh ko phir dil-e-be-tāb le gayā
aankhon se koi mere kahin KHwab le gaya
ya'ni tamam halqa-e-ahbab le gaya
chheDa hi tha sitar pe ek naghma-e-hayat
hathon se waqt chhin ke mizrab le gaya
aansu ki ek bund kaleja nigal gai
patthar ko ek qatra-e-simab le gaya
dil ki kitab luTne wala bhi KHub tha
dilchasp jo tha sab se wahi bab le gaya
jal-bujh ke rah gaya hai har ek yaad ka charagh
chun chun ke waqt gauhar-e-nayab le gaya
har gam par lagi thi yahan rahzanon ki bhiD
jis ke laga jo hath wo asbab le gaya
qatil ke rup mein wo kashish thi ki ai 'kanwal'
maqtal mein mujh ko phir dil-e-be-tab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.