aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
āñkhoñ se manāzir kā tasalsul nahīñ TuuTā
maiñ luT gayā par terā taġhāful nahīñ TuuTā
tishna thā maiñ bahtā rahā dariyā mire aage
lekin mere hoñToñ kā tahammul nahīñ TuuTā
sadiyoñ se baġhal-gīr haiñ ek duuje se lekin
dariyā ke kināroñ kā tajāhul nahīñ TuuTā
uljhā huuñ ka.ī baar masā.il ke bhañvar meñ
maiñ TuuT gayā merā tavakkul nahīñ TuuTā
ḳhāmosh huā chīḳhte dariyā kā talātum
a tesha-e-farhād tirā ġhul nahīñ TuuTā
aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
main luT gaya par tera taghaful nahin TuTa
tishna tha main bahta raha dariya mere aage
lekin mere honTon ka tahammul nahin TuTa
sadiyon se baghal-gir hain ek duje se lekin
dariya ke kinaron ka tajahul nahin TuTa
uljha hun kai bar masail ke bhanwar mein
main TuT gaya mera tawakkul nahin TuTa
KHamosh hua chiKHte dariya ka talatum
a tesha-e-farhad tera ghul nahin TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.