aankhon se mere KHwab churaati rahi hai raat
āñkhoñ se mere ḳhvāb churātī rahī hai raat
ḳhud bhī jagī hai mujh ko jagātī rahī hai raat
āñkheñ sahar kī niiñd se bojhal lagīñ mujhe
ik shor jo balā kā machātī rahī hai raat
ham ne to ḳhud meñ shor machāyā thā rāt-bhar
ḳhāmoshiyoñ ke qisse sunātī rahī hai raat
jab bhī charāġh maiñ ne jalāyā hai shaam ko
mil kar havā ke saath bujhātī rahī hai raat
ḳhāmosh raat rahtī hai maiñ ne sunā thā ye
jo dil meñ aaya mujh ko sunātī rahī hai raat
aankhon se mere KHwab churaati rahi hai raat
KHud bhi jagi hai mujh ko jagati rahi hai raat
aankhen sahar ki nind se bojhal lagin mujhe
ek shor jo bala ka machati rahi hai raat
hum ne to KHud mein shor machaya tha raat-bhar
KHamoshiyon ke qisse sunati rahi hai raat
jab bhi charagh main ne jalaya hai sham ko
mil kar hawa ke sath bujhati rahi hai raat
KHamosh raat rahti hai main ne suna tha ye
jo dil mein aaya mujh ko sunati rahi hai raat
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 101)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.