aankhon se meri aaj to barsat ho gai
āñkhoñ se merī aaj to barsāt ho ga.ī
achchhā huā ki ġham kī mudārāt ho ga.ī
patthar uThā ke laayā huuñ hāthoñ meñ dekh lo
ab kyā kahūñ ki kis se mulāqāt ho ga.ī
āñkhoñ se ek qatra lahū kā na gir sakā
ye zindagī to nazr-e-ḳhurāfāt ho ga.ī
afsāna dil kā kah na sakā un se maiñ kabhī
har baat vaqf-e-husn-e-mudārāt ho ga.ī
kaisā ajiib sāneha 'ahmad' guzar gayā
sūraj nikal rahā thā magar raat ho ga.ī
aankhon se meri aaj to barsat ho gai
achchha hua ki gham ki mudaraat ho gai
patthar uTha ke laya hun hathon mein dekh lo
ab kya kahun ki kis se mulaqat ho gai
aankhon se ek qatra lahu ka na gir saka
ye zindagi to nazr-e-KHurafat ho gai
afsana dil ka kah na saka un se main kabhi
har baat waqf-e-husn-e-mudaraat ho gai
kaisa ajib saneha 'ahmad' guzar gaya
suraj nikal raha tha magar raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.