aankhon se Tapke os to jaan mein nami rahe
āñkhoñ se Tapke os to jaañ meñ namī rahe
mahke umiid dard kī khetī harī rahe
ye kyā ki aaj vasl to kal sadma-e-firāq
tab hai mazā ki bazm-e-nigārāñ jamī rahe
kab pūchhtā hai koī lagāvaT se dil kā haal
yāroñ kā hai mizāj ki kuchh dil-lagī rahe
āfāt ke pahāḌ kā din-rāt sāmnā
kis kī panāh māñge kahāñ aadmī rahe
jis ne bhī jaanā ishq ko tafrīh ḳhush rahā
sanjīda ho ke ham to nihāyat dukhī rahe
jī chāhtā hai phir usī mah-vash se rabt ho
ḳhalvat-kade meñ ruuh ke phir chāñdnī rahe
dil kyā bujhā ki nuur nahīñ chār-sū 'na.īm'
jaltā rahe dimāġh to kuchh raushnī rahe
aankhon se Tapke os to jaan mein nami rahe
mahke umid dard ki kheti hari rahe
ye kya ki aaj wasl to kal sadma-e-firaq
tab hai maza ki bazm-e-nigaran jami rahe
kab puchhta hai koi lagawaT se dil ka haal
yaron ka hai mizaj ki kuchh dil-lagi rahe
aafat ke pahaD ka din-raat samna
kis ki panah mange kahan aadmi rahe
jis ne bhi jaana ishq ko tafrih KHush raha
sanjida ho ke hum to nihayat dukhi rahe
ji chahta hai phir usi mah-wash se rabt ho
KHalwat-kade mein ruh ke phir chandni rahe
dil kya bujha ki nur nahin chaar-su 'naim'
jalta rahe dimagh to kuchh raushni rahe
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 171)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.