aankhon se uski yaad ka haala nahin gaya
āñkhoñ se us kī yaad kā haala nahīñ gayā
kāñTā ye apne dil se nikālā nahīñ gayā
ġham khaa.e āñsuoñ ko piyā hoñT sī liye
koī bhī hukm aap kā Taalā nahīñ gayā
har chiiz kā.enāt kī raushan huī magar
zehn-e-bashar se hirs kā jaalā nahīñ gayā
dīvān-gān-e-husn kī ik bhiiḌ thī vahāñ
maiñ us kī anjuman meñ nirālā nahīñ gayā
vo ek baar aa.e the dahlīz pe mirī
phir is ke baa'd ghar se ujālā nahīñ gayā
har shaḳhs ke laboñ pe haiñ us kī hikāyateñ
zālim se apnā husn sañbhālā nahīñ gayā
āsā.ishoñ pe 'rāhī' maiñ kyā tabsira karūñ
is qaid meñ abhī mujhe Daalā nahīñ gayā
aankhon se us ki yaad ka haala nahin gaya
kanTa ye apne dil se nikala nahin gaya
gham khae aansuon ko piya honT si liye
koi bhi hukm aap ka Tala nahin gaya
har chiz kaenat ki raushan hui magar
zehn-e-bashar se hirs ka jala nahin gaya
diwan-gan-e-husn ki ek bhiD thi wahan
main us ki anjuman mein nirala nahin gaya
wo ek bar aae the dahliz pe meri
phir is ke ba'd ghar se ujala nahin gaya
har shaKHs ke labon pe hain us ki hikayaten
zalim se apna husn sanbhaala nahin gaya
aasaishon pe 'rahi' main kya tabsira karun
is qaid mein abhi mujhe Dala nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.