aansuon ki hath par tahrir le kar aai hai
aansuon ki hath par tahrir le kar aai hai
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
MORE BYMakhdoom Zada Mukhtar Usmani
āñsuoñ kī haath par tahrīr le kar aa.ī hai
yā'nī ab merī du'ā tāsīr le kar aa.ī hai
ḳhuub hai jabr-e-mashiyyat merī marzī ke ḳhilāf
phir usī ke rū-ba-rū taqdīr le kar aa.ī hai
hai 'valī' jaisā hī vo bhī shā'irī kā 'shefta'
jis ko dillī meñ talāsh-e-'mīr' le kar aa.ī hai
aarzū hasrat tamanna ḳhvāhisheñ ummīd-e-ḳhvāb
zindagī tarkash meñ kyā kyā tiir le kar aa.ī hai
ab kahāñ gumnām haiñ 'muḳhtār' apne shahr meñ
un kī nisbat har taraf tash.hīr le kar aa.ī hai
aansuon ki hath par tahrir le kar aai hai
ya'ni ab meri du'a tasir le kar aai hai
KHub hai jabr-e-mashiyyat meri marzi ke KHilaf
phir usi ke ru-ba-ru taqdir le kar aai hai
hai 'wali' jaisa hi wo bhi sha'iri ka 'shefta'
jis ko dilli mein talash-e-'mir' le kar aai hai
aarzu hasrat tamanna KHwahishen ummid-e-KHwab
zindagi tarkash mein kya kya tir le kar aai hai
ab kahan gumnam hain 'muKHtar' apne shahr mein
un ki nisbat har taraf tashhir le kar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.