aansuon ne kaam kar ke rakh diya
āñsuoñ ne kaam kar ke rakh diyā
'ishq ne badnām kar ke rakh diyā
ik tajallī ne tirī aisā kiyā
husn ko be-dām kar ke rakh diyā
'ishq ke āġhāz meñ tum ho abhī
ham ne to anjām kar ke rakh diyā
mere saaqī kī 'ināyat ne mujhe
ik shikasta jaam kar ke rakh diyā
jab se guzre ham junūn-e-'ishq se
rāsta ye 'aam kar ke rakh diyā
kitnī nīñdeñ TuuTī haiñ dekho 'mu'īn'
aah ne kohrām kar ke rakh diyā
aansuon ne kaam kar ke rakh diya
'ishq ne badnam kar ke rakh diya
ek tajalli ne teri aisa kiya
husn ko be-dam kar ke rakh diya
'ishq ke aaghaz mein tum ho abhi
hum ne to anjam kar ke rakh diya
mere saqi ki 'inayat ne mujhe
ek shikasta jam kar ke rakh diya
jab se guzre hum junun-e-'ishq se
rasta ye 'am kar ke rakh diya
kitni ninden TuTi hain dekho 'mu'in'
aah ne kohram kar ke rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.