aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya
aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya
Sulaiman Faraz Hasanpuri
MORE BYSulaiman Faraz Hasanpuri
āñsuoñ se hai libās apnā ye tar dekh liyā
kaisā hotā hai mohabbat kā safar dekh liyā
tum bhī un ke hī divānoñ meñ gine jāoge
un kī sūrat ko agar ek nazar dekh liyā
muflisī terī ināyat hai ye terā hai karam
jo na dekhā thā kabhī aaj vo dar dekh liyā
ham kahīñ aur bhī dil apnā lagā lete magar
koī tum sā na milā saarā nagar dekh liyā
raah mushkil thī par āsān huī jaatī thī
maiñ ne maañ terī duāoñ kā asar dekh liyā
merī tasvīr ko siine se lagāte ho tum
socho kyā hogā zamāne ne agar dekh liyā
dostī kā mirī anjām na jaane kyā ho
aaj us ne mirā TuuTā huā ghar dekh liyā
ġhair kā naam hathelī pe likhā hai terī
maiñ nahīñ huuñ tirā manzūr-e-nazar dekh liyā
hāl-e-bad meñ bhī 'farāz' us ne na pūchhā ham ko
kitnī rakhtā hai hamārī vo ḳhabar dekh liyā
aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya
kaisa hota hai mohabbat ka safar dekh liya
tum bhi un ke hi diwanon mein gine jaoge
un ki surat ko agar ek nazar dekh liya
muflisi teri inayat hai ye tera hai karam
jo na dekha tha kabhi aaj wo dar dekh liya
hum kahin aur bhi dil apna laga lete magar
koi tum sa na mila sara nagar dekh liya
rah mushkil thi par aasan hui jati thi
main ne man teri duaon ka asar dekh liya
meri taswir ko sine se lagate ho tum
socho kya hoga zamane ne agar dekh liya
dosti ka meri anjam na jaane kya ho
aaj us ne mera TuTa hua ghar dekh liya
ghair ka nam hatheli pe likha hai teri
main nahin hun tera manzur-e-nazar dekh liya
haal-e-bad mein bhi 'faraaz' us ne na puchha hum ko
kitni rakhta hai hamari wo KHabar dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.