aansuon se likh raha hun hasraten pani pe main
aansuon se likh raha hun hasraten pani pe main
Ashvini Kumar Tripathi
MORE BYAshvini Kumar Tripathi
āñsuoñ se likh rahā huuñ hasrateñ paanī pe maiñ
naam terā likh rahā huuñ apnī peshānī pe maiñ
hāl-e-dil gar pūchhtī ho to ye kahnā hai mujhe
chand nazmeñ likh rahā huuñ dil kī vīrānī pe maiñ
daur-e-hāzir ke junūn-e-'ishq pe hairāñ hai tū
aur hairāñ ho rahā huuñ terī hairānī pe maiñ
jism-e-fānī par hī likh kar thak chukī merī qalam
pūchhtī hai kab likhūñgā ‘ishq-e-rūhānī pe maiñ
aansuon se likh raha hun hasraten pani pe main
nam tera likh raha hun apni peshani pe main
haal-e-dil gar puchhti ho to ye kahna hai mujhe
chand nazmen likh raha hun dil ki virani pe main
daur-e-hazir ke junun-e-'ishq pe hairan hai tu
aur hairan ho raha hun teri hairani pe main
jism-e-fani par hi likh kar thak chuki meri qalam
puchhti hai kab likhunga ‘ishq-e-ruhani pe main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.