aansu beche zaKHm KHaride aahon ko aadhaar kiya
aañsū beche zaḳhm ḳharīde aahoñ ko ādhār kiyā
pyaar ke naam pe ham ne jag meñ ghāTe kā byopār kiyā
jis se naata toḌ chuke haiñ vo bhī jism hamārā hai
vo bhī apnā hī chehra hai jis se ham ne pyaar kiyā
kaise kaise jhuuT tarāshe rishtoñ kī sachchā.ī ne
kitnī dhuñdlī rekhāoñ ko āñkhoñ ne ākār kiyā
dhīre dhīre har sargoshī sannāToñ meñ Duub ga.ī
ab to ye bhī yaad nahīñ hai kis ne kyā iqrār kiyā
kyoñ andhī abhīlāshā bāñdhī sāñsoñ se nādānī ne
āḳhir kyoñ dīvār-o-dar par rangoñ ne upkār kiyā
sadiyoñ kī pyāsī dhartī par angāre se ug aa.e
jis din merī sachchā.ī se duniyā ne inkār kiyā
tābish-e-mehr-o-māh se jis din zulmat-e-fikr huī raushan
ham ne apne zauq-e-nazar ko varaq varaq tah-dār kiyā
kambal oḌhe varna rāteñ gahre sapnoñ meñ gum thiiñ
bhalā huā sūraj ne aakar dhartī ko bedār kiyā
is ehsān kā badla shāyad chukā na pā.ūñ maiñ 'parvāz'
dhajjī dhajjī kar ke dil ko jo mujh se bezār kiyā
aansu beche zaKHm KHaride aahon ko aadhaar kiya
pyar ke nam pe hum ne jag mein ghaTe ka byopar kiya
jis se nata toD chuke hain wo bhi jism hamara hai
wo bhi apna hi chehra hai jis se hum ne pyar kiya
kaise kaise jhuT tarashe rishton ki sachchai ne
kitni dhundli rekhaon ko aankhon ne aakar kiya
dhire dhire har sargoshi sannaTon mein Dub gai
ab to ye bhi yaad nahin hai kis ne kya iqrar kiya
kyon andhi abhilasha bandhi sanson se nadani ne
aaKHir kyon diwar-o-dar par rangon ne upkar kiya
sadiyon ki pyasi dharti par angare se ug aae
jis din meri sachchai se duniya ne inkar kiya
tabish-e-mehr-o-mah se jis din zulmat-e-fikr hui raushan
hum ne apne zauq-e-nazar ko waraq waraq tah-dar kiya
kambal oDhe warna raaten gahre sapnon mein gum thin
bhala hua suraj ne aakar dharti ko bedar kiya
is ehsan ka badla shayad chuka na paun main 'parwaz'
dhajji dhajji kar ke dil ko jo mujh se bezar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.