aansu hai qimti jo hamari palak mein hai
aañsū hai qīmtī jo hamārī palak meñ hai
vo baat phir kahāñ jo faqat ik jhalak meñ hai
ham bhī usī tarah se zamāne ke biich haiñ
jis tarah se vo ek sitārā falak meñ hai
gamloñ meñ phuul ḳhuub sajā.e haiñ aap ne
lekin vo baat kab jo chaman kī mahak meñ hai
ham kab ye kah rahe haiñ nahīñ artist aap
vo baat to nahīñ hai jo uupar dhanak meñ hai
hai kam-libāsiyoñ kī baḌī dhuum āj-kal
lekin ye ġhaur kījiye chūḌī khanak meñ hai
hālāt itne bigḌe haiñ duniyā ke har taraf
is vāste 'vasīya' kā dil bhī kasak meñ hai
aansu hai qimti jo hamari palak mein hai
wo baat phir kahan jo faqat ek jhalak mein hai
hum bhi usi tarah se zamane ke bich hain
jis tarah se wo ek sitara falak mein hai
gamlon mein phul KHub sajae hain aap ne
lekin wo baat kab jo chaman ki mahak mein hai
hum kab ye kah rahe hain nahin artist aap
wo baat to nahin hai jo upar dhanak mein hai
hai kam-libasiyon ki baDi dhum aaj-kal
lekin ye ghaur kijiye chuDi khanak mein hai
haalat itne bigDe hain duniya ke har taraf
is waste 'wasiya' ka dil bhi kasak mein hai
- Book : Dana Dana Khirman (Pg. 102)
- Author : Fatima wasia Jaisi
- Publication : Fatima wasia Jaisi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.