aansu hamare sath bahata raha hai chand
aañsū hamāre saath bahātā rahā hai chāñd
bas raat bhar sitam yahī Dhātā rahā hai chāñd
taaro gavāh tum ho ki ham ne nahīñ kahā
āñgan hamārā ḳhud hī sajātā rahā hai chāñd
ā.īna ban gayā hai kabhī raat ke samay
biite dinoñ kā aks dikhātā rahā hai chāñd
gardish meñ rah ke raat ko niile gagan tale
jiine ke Dhang ham ko sikhātā rahā hai chāñd
aksar udaas raat meñ ḳhāmosh rah ke bhī
maazī kī yaad ham ko dilātā rahā hai chāñd
afsāna-e-hayāt bahut muḳhtasar sahī
afsāna-e-hayāt sunātā rahā hai chāñd
aksar ham us kī or bahut dekhte rahe
ham ko to bachpane se hī bhātā rahā hai chāñd
maazī ke vāqi.āt bahut yaad aa.e naaz
yuuñ apnī chāñdnī se rulātā rahā hai chāñd
shāyad koī to baat nahīñ kah sakā hameñ
shāyad koī to raaz chhupātā rahā hai chāñd
aansu hamare sath bahata raha hai chand
bas raat bhar sitam yahi Dhata raha hai chand
taro gawah tum ho ki hum ne nahin kaha
aangan hamara KHud hi sajata raha hai chand
aaina ban gaya hai kabhi raat ke samay
bite dinon ka aks dikhata raha hai chand
gardish mein rah ke raat ko nile gagan tale
jine ke Dhang hum ko sikhata raha hai chand
aksar udas raat mein KHamosh rah ke bhi
mazi ki yaad hum ko dilata raha hai chand
afsana-e-hayat bahut muKHtasar sahi
afsana-e-hayat sunata raha hai chand
aksar hum us ki or bahut dekhte rahe
hum ko to bachpane se hi bhata raha hai chand
mazi ke waqiat bahut yaad aae naz
yun apni chandni se rulata raha hai chand
shayad koi to baat nahin kah saka hamein
shayad koi to raaz chhupata raha hai chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.