aansu ki ek bund palak par jami rahi
aañsū kī ek buuñd palak par jamī rahī
phir us ke ba.ad saarī fazā shabnamī rahī
tark-e-ta.alluqāt meñ us kī ḳhatā bhī thī
thoḌī bahut vafā meñ idhar bhī kamī rahī
bādal ġhamoñ ke kab se baras kar chale ga.e
āñkhoñ meñ is sabab se abhī tak namī rahī
uupar se zaḳhm-e-hijr ko to ham ne bhar diyā
andar se kaifiyat to magar mātamī rahī
yārān-e-rafta yuuñ bhī bahut tez-gām the
aur ham chale to paañv kī gardish thamī rahī
aansu ki ek bund palak par jami rahi
phir us ke baad sari faza shabnami rahi
tark-e-talluqat mein us ki KHata bhi thi
thoDi bahut wafa mein idhar bhi kami rahi
baadal ghamon ke kab se baras kar chale gae
aankhon mein is sabab se abhi tak nami rahi
upar se zaKHm-e-hijr ko to hum ne bhar diya
andar se kaifiyat to magar matami rahi
yaran-e-rafta yun bhi bahut tez-gam the
aur hum chale to panw ki gardish thami rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.