aansuon ke phul-phal ka zaiqa kuchh aur tha
āñsuoñ ke phūl-phal kā zā.iqa kuchh aur thā
dard kī shāḳhoñ pe khilne kā mazā kuchh aur thā
tum ne kyā kyā sauñp Daale maslahat kī dhuup ko
sā.ebānī ke safar kā silsila kuchh aur thā
sarmadī socheñ falak-rutba huiiñ mere tufail
shahr ke paiġhāmbar kā mashvara kuchh aur thā
lafz ke hāthoñ huī rusvā.ī mere she'r kī
fikr ke kashkol meñ to yā-ḳhudā kuchh aur thā
aansuon ke phul-phal ka zaiqa kuchh aur tha
dard ki shaKHon pe khilne ka maza kuchh aur tha
tum ne kya kya saunp Dale maslahat ki dhup ko
saebani ke safar ka silsila kuchh aur tha
sarmadi sochen falak-rutba huin mere tufail
shahr ke paighambar ka mashwara kuchh aur tha
lafz ke hathon hui ruswai mere she'r ki
fikr ke kashkol mein to ya-KHuda kuchh aur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.