aansuon ko na sazawar-e-malamat samjho
āñsuoñ ko na sazāvār-e-malāmat samjho
in charāġhoñ ko shab-e-ġham kī zarūrat samjho
kaun jaane kise phir ghar kī ho dahlīz nasīb
āj-kal ghar se nikalne ko bhī hijrat samjho
jazba-e-ishq nahīñ harf-o-bayāñ kā muhtāj
merī ḳhāmoshī ko iz.hār-e-mohabbat samjho
dāstāñ fasl-e-bahārāñ kī sunāne vaalo
jeb-o-dāman pe likhī hai jo 'ibārat samjho
be-hisī sang-dilī zulm baġhāvat nafrat
aise hālāt ko āsār-e-qayāmat samjho
ahl-e-zar sun nahīñ sakte kabhī āvāz-e-fuġhāñ
in ḳhudā-vandoñ ko mahrūm-e-samā.at samjho
rāz-e-hastī se bhī uTh jā.eñge saare parde
pahle ik zarra-e-ḳhākī kī haqīqat samjho
zindagī kī hī 'alāmat hai dhḌaknā dil kā
dard ko fitrat-e-insāñ kī amānat samjho
ajnabī shahr kī begāna fazāoñ meñ 'sirāj'
koī pahchān le tum ko to ġhanīmat samjho
aansuon ko na sazawar-e-malamat samjho
in charaghon ko shab-e-gham ki zarurat samjho
kaun jaane kise phir ghar ki ho dahliz nasib
aaj-kal ghar se nikalne ko bhi hijrat samjho
jazba-e-ishq nahin harf-o-bayan ka muhtaj
meri KHamoshi ko izhaar-e-mohabbat samjho
dastan fasl-e-bahaaran ki sunane walo
jeb-o-daman pe likhi hai jo 'ibarat samjho
be-hisi sang-dili zulm baghawat nafrat
aise haalat ko aasar-e-qayamat samjho
ahl-e-zar sun nahin sakte kabhi aawaz-e-fughan
in KHuda-wandon ko mahrum-e-samaat samjho
raaz-e-hasti se bhi uTh jaenge sare parde
pahle ek zarra-e-KHaki ki haqiqat samjho
zindagi ki hi 'alamat hai dhDakna dil ka
dard ko fitrat-e-insan ki amanat samjho
ajnabi shahr ki begana fazaon mein 'siraj'
koi pahchan le tum ko to ghanimat samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.