aansuon se likhi tahrir bhi ho sakti hai
āñsuoñ se likhī tahrīr bhī ho saktī hai
ġham kī ruḳhsār pe tafsīr bhī ho saktī hai
terī duniyā meñ mirā kaam abhī baaqī hai
lauTne meñ zarā tāḳhīr bhī ho saktī hai
dam-e-ruḳhsat tire hoñToñ kī ye phīkī muskān
mere in paañv kī zanjīr bhī ho saktī hai
dil se khelo na mire is ke kisī goshe meñ
aap kī hī koī tasvīr bhī ho saktī hai
shak nahīñ is meñ koī vaqt agar saath rahā
phir vahīñ ik na.ī tā'mīr bhī ho saktī hai
ḳhvāb hī ḳhvāb kī duniyā hai mirī āñkhoñ meñ
in kī koī hasīñ tā'bīr bhī ho saktī hai
zindagī dasht kī sūrat hī sahī sabr to kar
ek din vādī-e-kashmīr bhī ho saktī hai
vaqt aane to do zulmat ko miTāne ke liye
sandalī hāthoñ meñ shamshīr bhī ho saktī hai
ājizī par kisī zālim kī kabhī rahm na kar
makr ho saktā hai tadbīr bhī ho saktī hai
aarzū merī du'ā aap kī rang lā.egī
varna ye āḳhirī tahrīr bhī ho saktī hai
kuchh rahe yā na rahe pās-e-anā hai 'anvar'
bas anā hī mirī jāgīr bhī ho saktī hai
aansuon se likhi tahrir bhi ho sakti hai
gham ki ruKHsar pe tafsir bhi ho sakti hai
teri duniya mein mera kaam abhi baqi hai
lauTne mein zara taKHir bhi ho sakti hai
dam-e-ruKHsat tere honTon ki ye phiki muskan
mere in panw ki zanjir bhi ho sakti hai
dil se khelo na mere is ke kisi goshe mein
aap ki hi koi taswir bhi ho sakti hai
shak nahin is mein koi waqt agar sath raha
phir wahin ek nai ta'mir bhi ho sakti hai
KHwab hi KHwab ki duniya hai meri aankhon mein
in ki koi hasin ta'bir bhi ho sakti hai
zindagi dasht ki surat hi sahi sabr to kar
ek din wadi-e-kashmir bhi ho sakti hai
waqt aane to do zulmat ko miTane ke liye
sandali hathon mein shamshir bhi ho sakti hai
aajizi par kisi zalim ki kabhi rahm na kar
makr ho sakta hai tadbir bhi ho sakti hai
aarzu meri du'a aap ki rang laegi
warna ye aaKHiri tahrir bhi ho sakti hai
kuchh rahe ya na rahe pas-e-ana hai 'anwar'
bas ana hi meri jagir bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.