aao har yar-e-guzishta ko bulaya jae
aao har yār-e-guzishta ko bulāyā jaa.e
dil kī hālat kā tamāsha sā banāyā jaa.e
shāḳh se ho ke judā gul pe tire kyā guzrī
bāġhbāñ ko ye kisī roz batāyā jaa.e
sūrat-e-zard ko paḌh chāk-e-garebāñ ko samajh
kyā zarūrī hai ki har zaḳhm dikhāyā jaa.e
mujh ko is ahd-e-mohabbat se shikāyat ye hai
is meñ jo lafz hamesha hai haTāyā jaa.e
ab kueñ bhī kahāñ maujūd haiñ in shahroñ meñ
kis tarah sunnat-e-'alvī ko nibhāyā jaa.e
aao har yar-e-guzishta ko bulaya jae
dil ki haalat ka tamasha sa banaya jae
shaKH se ho ke juda gul pe tere kya guzri
baghban ko ye kisi roz bataya jae
surat-e-zard ko paDh chaak-e-gareban ko samajh
kya zaruri hai ki har zaKHm dikhaya jae
mujh ko is ahd-e-mohabbat se shikayat ye hai
is mein jo lafz hamesha hai haTaya jae
ab kuen bhi kahan maujud hain in shahron mein
kis tarah sunnat-e-'alwi ko nibhaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.