aao ki koi KHwab karen un ke hawale
aao ki koī ḳhvāb kareñ un ke havāle
dekhe hī nahīñ jin ne kabhī din meñ ujāle
pāgal sā huā jaatā hai ḳhāmosh samundar
paanī pe baras jaate haiñ jab chāñd ke haale
ham sā bhī gunahgār koī ho to batāo
patthar pe khilā.e haiñ bahut ḳhuun se laale
manzar koī hañstā huā āñkhoñ meñ chhupā luuñ
hai kaun jo ik pal ke liye maut ko Taale
phūloñ se Dhake rāste hamvār bahut haiñ
āzār musāfir haiñ magar paañv ke chhāle
aao ki koi KHwab karen un ke hawale
dekhe hi nahin jin ne kabhi din mein ujale
pagal sa hua jata hai KHamosh samundar
pani pe baras jate hain jab chand ke haale
hum sa bhi gunahgar koi ho to batao
patthar pe khilae hain bahut KHun se lale
manzar koi hansta hua aankhon mein chhupa lun
hai kaun jo ek pal ke liye maut ko Tale
phulon se Dhake raste hamwar bahut hain
aazar musafir hain magar panw ke chhaale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.