aao kuchh gardish-e-taqdir ka shikwa kar len
aao kuchh gardish-e-taqdīr kā shikva kar leñ
jis se mahrūm rahe us kī tamannā kar leñ
jis taraf dekhiye ā.īne hī ā.īne haiñ
apnī sūrat kā ba-sad-rañg tamāshā kar leñ
husn majbūr hai ḳhud jalva-numā.ī pe magar
maslahat ye hai ki kuchh ham bhī taqāzā kar leñ
naunihālān-e-chaman tishna na ho jaa.eñ kahīñ
aao kuchh ḳhūn-e-jigar aur muhayyā kar leñ
jeb-o-dāmāñ meñ abhī fāsla kuchh baaqī hai
minnateñ aap kī ham hazrat-e-īsā kar leñ
gul kī rag rag meñ nazar aa.egā maalī kā lahū
vā agar ahl-e-nazar dīda-e-bīnā kar leñ
baat 'arshī' kī nazar aatī hai gar uthlī sī
imtihān is kā na kyoñ qibla-o-ka.aba kar leñ
aao kuchh gardish-e-taqdir ka shikwa kar len
jis se mahrum rahe us ki tamanna kar len
jis taraf dekhiye aaine hi aaine hain
apni surat ka ba-sad-rang tamasha kar len
husn majbur hai KHud jalwa-numai pe magar
maslahat ye hai ki kuchh hum bhi taqaza kar len
naunihaalan-e-chaman tishna na ho jaen kahin
aao kuchh KHun-e-jigar aur muhayya kar len
jeb-o-daman mein abhi fasla kuchh baqi hai
minnaten aap ki hum hazrat-e-isa kar len
gul ki rag rag mein nazar aaega mali ka lahu
wa agar ahl-e-nazar dida-e-bina kar len
baat 'arshi' ki nazar aati hai gar uthli si
imtihan is ka na kyon qibla-o-kaba kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.