aao kuchh zikr-e-rozgar karen
aao kuchh zikr-e-rozgār kareñ
daur-e-hāzir ke ġham shumār kareñ
aur bhī bojh haiñ isī sar par
ārzūeñ kahāñ savār kareñ
aap nuqsān sah na pā.eñge
aap dil kā na kārobār kareñ
ham se to be-ruḳhī nahīñ hotī
jo bhī chāheñ hamāre yaar kareñ
ābla-pā payām chhoḌ ga.e
log nazzāra-e-bahār kareñ
hai taqāzā-e-ġhairat-e-imroz
zor-e-bāzū pe inhisār kareñ
kuchh to farmā.iye ki 'āsī-jī'
kyā kareñ kis pe e.atibār kareñ
aao kuchh zikr-e-rozgar karen
daur-e-hazir ke gham shumar karen
aur bhi bojh hain isi sar par
aarzuen kahan sawar karen
aap nuqsan sah na paenge
aap dil ka na karobar karen
hum se to be-ruKHi nahin hoti
jo bhi chahen hamare yar karen
aabla-pa payam chhoD gae
log nazzara-e-bahaar karen
hai taqaza-e-ghairat-e-imroz
zor-e-bazu pe inhisar karen
kuchh to farmaiye ki 'asi-ji'
kya karen kis pe eatibar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.