aao mil kar sochen isko tadbiren
aao mil kar socheñ is kī tadbīreñ
kaise TūTeñgī qadmoñ kī zanjīreñ
jo qaumeñ maazī se dars nahīñ letīñ
ḳhaak meñ mil jaatī haiñ un kī taqdīreñ
vaqt ne jaane chehre par kyā kyā likkhā
uljhī uljhī bosīda sī tahrīreñ
raat ga.e jab ghar ko vāpas aatā huuñ
ḳhāmoshī kartī miltī hai taqrīreñ
'arshad' merā aaj bhī vo sarmāya haiñ
dhundlī dhundlī ahd-e-kuhan kī tasvīreñ
aao mil kar sochen is ki tadbiren
kaise TuTengi qadmon ki zanjiren
jo qaumen mazi se dars nahin letin
KHak mein mil jati hain un ki taqdiren
waqt ne jaane chehre par kya kya likkha
uljhi uljhi bosida si tahriren
raat gae jab ghar ko wapas aata hun
KHamoshi karti milti hai taqriren
'arshad' mera aaj bhi wo sarmaya hain
dhundli dhundli ahd-e-kuhan ki taswiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.