Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao ye KHamoshi toDen aaine se baat karen

Mahtab Haider Naqvi

aao ye KHamoshi toDen aaine se baat karen

Mahtab Haider Naqvi

MORE BYMahtab Haider Naqvi

    aao ye ḳhāmoshī toḌeñ ā.īne se baat kareñ

    thoḌī hairat aañkh meñ bhar leñ thoḌī ḳhairāt kareñ

    hijr o visāl ke rañg the jitne tārīkī meñ Duub ga.e

    tanhā.ī ke manzar meñ ab kaun kār-e-hayāt kareñ

    dekho is ke baad aa.egī aur añdherī kaalī raat

    dhuup ke in TukḌoñ ko chun leñ jam.a yahī zarrāt kareñ

    pyāsoñ ke jhurmuT meñ haiñ aur itnā soch rahe haiñ ham

    āñkhoñ ke is bojhal-pan ko kaise nahr-e-furāt kareñ

    paanī paanī kahne vaale dariyā dariyā Duub ga.e

    kis muñh se sāhil vāloñ se tishna-labī baat kareñ

    aao ye KHamoshi toDen aaine se baat karen

    thoDi hairat aankh mein bhar len thoDi si KHairaat karen

    hijr o visal ke rang the jitne tariki mein Dub gae

    tanhai ke manzar mein ab kaun sa kar-e-hayat karen

    dekho is ke baad aaegi aur andheri kali raat

    dhup ke in TukDon ko chun len jama yahi zarraat karen

    pyason ke jhurmuT mein hain aur itna soch rahe hain hum

    aankhon ke is bojhal-pan ko kaise nahr-e-furaat karen

    pani pani kahne wale dariya dariya Dub gae

    kis munh se sahil walon se tishna-labi ki baat karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now