aap aate to baat banti bhi
aap aate to baat bantī bhī
aap rukte to haal kahte naañ
aap milte the jī rahe the ham
milte rahte to zinda rahte naañ
aap kā hijr sah liyā ham ne
ye qayāmat jo aap sahte naañ
aap kī god meñ jo sar hotā
phir mire ashk bhī to bahte naañ
mere pahlū meñ chain miltā thā
mere pahlū meñ aap rahte naañ
aap kahte ki lauT ā.ūñgā
aap ik baar to ye kahte naañ
ilm hotā ki aap guzreñge
ham to raste meñ baiThe rahte naañ
aap aate to baat banti bhi
aap rukte to haal kahte nan
aap milte the ji rahe the hum
milte rahte to zinda rahte nan
aap ka hijr sah liya hum ne
ye qayamat jo aap sahte nan
aap ki god mein jo sar hota
phir mere ashk bhi to bahte nan
mere pahlu mein chain milta tha
mere pahlu mein aap rahte nan
aap kahte ki lauT aaunga
aap ek bar to ye kahte nan
ilm hota ki aap guzrenge
hum to raste mein baiThe rahte nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.