aap apne KHwab ka lashkar bana sakte hain hum
aap apne ḳhvāb kā lashkar banā sakte haiñ ham
dil meñ ḳhvāhish ho to ye manzar banā sakte haiñ ham
chār-dīvārī ko paanī se numū dete hue
sāhiloñ par sirf apnā ghar banā sakte haiñ ham
par tumhāre hijr ne ham ko rulāyā 'umr-bhar
ham samajhte the ki dil patthar banā sakte haiñ ham
is qadar uḌne kī ḳhvāhish hai yahāñ 'jur.at' hameñ
kāġhazoñ par titliyoñ ke par banā sakte haiñ ham
aap apne KHwab ka lashkar bana sakte hain hum
dil mein KHwahish ho to ye manzar bana sakte hain hum
chaar-diwari ko pani se numu dete hue
sahilon par sirf apna ghar bana sakte hain hum
par tumhaare hijr ne hum ko rulaya 'umr-bhar
hum samajhte the ki dil patthar bana sakte hain hum
is qadar uDne ki KHwahish hai yahan 'jurat' hamein
kaghazon par titliyon ke par bana sakte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.