aap apni maut mar jaane diya
aap apnī maut mar jaane diyā
dil ko nazroñ se utar jaane diyā
rok saktā thā maiñ jaate vaqt ko
us kī marzī thī guzar jaane diyā
taash ke pattoñ se ik duniyā rachī
aur phir sab kuchh bikhar jaane diyā
saath merā aur ik uljhan kā thā
jis ne apnāyā na ghar jaane diyā
rāsta bhūlī huī āvāz ne
chand shāmoñ ko sañvar jaane diyā
ek andeshe kī aahaT kyā sunī
apne ḳhvāboñ ko bikhar jaane diyā
aap apni maut mar jaane diya
dil ko nazron se utar jaane diya
rok sakta tha main jate waqt ko
us ki marzi thi guzar jaane diya
tash ke patton se ek duniya rachi
aur phir sab kuchh bikhar jaane diya
sath mera aur ek uljhan ka tha
jis ne apnaya na ghar jaane diya
rasta bhuli hui aawaz ne
chand shamon ko sanwar jaane diya
ek andeshe ki aahaT kya suni
apne KHwabon ko bikhar jaane diya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 119)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.