aap aur hum salam bhi na karen
aap aur ham salām bhī na kareñ
nafrateñ itnī aam bhī na kareñ
kuchh na boleñ tire ḳhilāf magar
ḳhud se kyā ab kalām bhī na kareñ
kar nahīñ paa.eñ gar hifāzat aap
qatl kā intizām bhī na kareñ
kuchh na kuchh ham se kaam hai varna
aap yuuñ to salām bhī na kareñ
log hamdardiyāñ jatāne lageñ
dard ko itnā aam bhī na kareñ
sirf uljhe raheñ siyāsat meñ
log kyā kām-vām bhī na kareñ
aap aur hum salam bhi na karen
nafraten itni aam bhi na karen
kuchh na bolen tere KHilaf magar
KHud se kya ab kalam bhi na karen
kar nahin paen gar hifazat aap
qatl ka intizam bhi na karen
kuchh na kuchh hum se kaam hai warna
aap yun to salam bhi na karen
log hamdardiyan jatane lagen
dard ko itna aam bhi na karen
sirf uljhe rahen siyasat mein
log kya kaam-wam bhi na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.