aap dekhen na charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah
aap dekhen na charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
aap dekheñ na charāġh-e-sar-e-mahfil kī tarah
aap kā dil bhī na ho jaa.e mire dil kī tarah
kabhī fursat nahīñ dete haiñ hujūm-e-afkār
dā.era ġham kā hai ab tauq-e-salāsil kī tarah
un kī qurbat se bhī kuchh faiz na paayā ham ne
ham piyāse hī rahe bahr ke sāhil kī tarah
jhilmilātī huī bujhne lagī ab sham’-e-hayāt
zindagī bhī hai charāġh-e-sar-e-mahfil kī tarah
dost ahbāb ne bhī haal na pūchhā aa kar
ham taḌapte hī rahe tā.ir-e-bismil kī tarah
dar-o-dīvār taraste haiñ sukūñ kī ḳhātir
ab vatan bhī hai 'zakī' kūcha-e-qātil kī tarah
aap dekhen na charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah
aap ka dil bhi na ho jae mere dil ki tarah
kabhi fursat nahin dete hain hujum-e-afkar
daera gham ka hai ab tauq-e-salasil ki tarah
un ki qurbat se bhi kuchh faiz na paya hum ne
hum piyase hi rahe bahr ke sahil ki tarah
jhilmilati hui bujhne lagi ab sham’-e-hayat
zindagi bhi hai charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah
dost ahbab ne bhi haal na puchha aa kar
hum taDapte hi rahe tair-e-bismil ki tarah
dar-o-diwar taraste hain sukun ki KHatir
ab watan bhi hai 'zaki' kucha-e-qatil ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.