aap hain kya malak-sifat aap hain kya pata nahin
aap haiñ kyā malak-sifat aap haiñ kyā patā nahīñ
ham to gunāhgār haiñ ham koī pārsā nahīñ
zindagī aadmī kī jab halqa-e-ḳhair-o-shar meñ hai
kaise kaheñ ye aap se ham se huī ḳhatā nahīñ
vo to har ek shai meñ hai ġhaur se dekhiye agar
kis kī majāl hai yahāñ jo ye kahe ḳhudā nahīñ
kī haiñ basīrateñ atā ilm diyā hunar diyā
kyā ye hamāre haal pe rahmat-e-kibriyā nahīñ
us ne kiyā ḳhushā mujhe daulat-e-faqr se ġhanī
ab koī aarzū nahīñ ab koī mudda.ā nahīñ
ḳhāliq-e-be-niyāz kā ham se na haq adā huā
haq hai ki ham se be-ḳhabar vo to kabhī huā nahīñ
jo bhī hamāre paas thā us pe nisār kar diyā
nazr kareñ to kyā kareñ kuchh bhī to ab bachā nahīñ
ne.amateñ be-hisāb diiñ us ne har ek shaḳhs ko
rahmat-e-kirdgār kī had nahīñ intihā nahīñ
apne hoñ yā parā.e hoñ sab hī hamāre saath haiñ
aaj ḳhudā kā shukr hai ham se koī ḳhafā nahīñ
dekheñ agar qarīb se kam nahīñ vo habīb se
shakl se vo burā sahī 'yās' magar burā nahīñ
aap hain kya malak-sifat aap hain kya pata nahin
hum to gunahgar hain hum koi parsa nahin
zindagi aadmi ki jab halqa-e-KHair-o-shar mein hai
kaise kahen ye aap se hum se hui KHata nahin
wo to har ek shai mein hai ghaur se dekhiye agar
kis ki majal hai yahan jo ye kahe KHuda nahin
ki hain basiraten ata ilm diya hunar diya
kya ye hamare haal pe rahmat-e-kibriya nahin
us ne kiya KHusha mujhe daulat-e-faqr se ghani
ab koi aarzu nahin ab koi muddaa nahin
KHaliq-e-be-niyaz ka hum se na haq ada hua
haq hai ki hum se be-KHabar wo to kabhi hua nahin
jo bhi hamare pas tha us pe nisar kar diya
nazr karen to kya karen kuchh bhi to ab bacha nahin
neamaten be-hisab din us ne har ek shaKHs ko
rahmat-e-kirdgar ki had nahin intiha nahin
apne hon ya parae hon sab hi hamare sath hain
aaj KHuda ka shukr hai hum se koi KHafa nahin
dekhen agar qarib se kam nahin wo habib se
shakl se wo bura sahi 'yas' magar bura nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.