aap har chiz ko ujlat mein yahan DhunDhte hain
aap har chiiz ko 'ujlat meñ yahāñ DhūñDhte haiñ
rakkhī hotī hai kahāñ aur kahāñ DhūñDhte haiñ
'ishq vaale bhī 'ajab haiñ ki jahāñ bhī jaa.eñ
sab se pahle vahāñ ḳhushbū kī dukāñ DhūñDhte haiñ
kaise mumkin hai ki mil jaa.e bichhaḌne vaalā
aap nāhaq hī añdhere meñ dhuāñ DhūñDhte haiñ
hijr kī gard to chhaT jaatī hai rafta rafta
'umr bhar log kisī ko bhī kahāñ DhūñDhte haiñ
us ke har lafz meñ inkār chhupā baiThā hai
aur ik ham haiñ jo har baat meñ haañ DhūñDhte haiñ
aap har chiz ko 'ujlat mein yahan DhunDhte hain
rakkhi hoti hai kahan aur kahan DhunDhte hain
'ishq wale bhi 'ajab hain ki jahan bhi jaen
sab se pahle wahan KHushbu ki dukan DhunDhte hain
kaise mumkin hai ki mil jae bichhaDne wala
aap nahaq hi andhere mein dhuan DhunDhte hain
hijr ki gard to chhaT jati hai rafta rafta
'umr bhar log kisi ko bhi kahan DhunDhte hain
us ke har lafz mein inkar chhupa baiTha hai
aur ek hum hain jo har baat mein han DhunDhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.