aap jate hain to viran paDe rahte hain
aap jaate haiñ to vīrān paḌe rahte haiñ
der tak ham yūñhī be-jān paḌe rahte haiñ
ik taraf zulm kā bāzār sajā rahtā hai
ik taraf munsif-o-mīzān paḌe rahte haiñ
ajnabiyyat hai ki baḌhtī hī chalī jaatī hai
apne ghar aa ke bhī mehmān paḌe rahte haiñ
raat har pal hameñ maslūb kiye rakhtī hai
sab samajhte haiñ ki āsān paḌe rahte haiñ
har ghaḌī ek adālat sī lagī rahtī hai
har ghaḌī ham pas-e-zindān paḌe rahte haiñ
log phūñkoñ se Darā kar use ḳhush hote haiñ
jis ke qadmoñ tale tūfān paḌe rahte haiñ
aap jate hain to viran paDe rahte hain
der tak hum yunhi be-jaan paDe rahte hain
ek taraf zulm ka bazar saja rahta hai
ek taraf munsif-o-mizan paDe rahte hain
ajnabiyyat hai ki baDhti hi chali jati hai
apne ghar aa ke bhi mehman paDe rahte hain
raat har pal hamein maslub kiye rakhti hai
sab samajhte hain ki aasan paDe rahte hain
har ghaDi ek adalat si lagi rahti hai
har ghaDi hum pas-e-zindan paDe rahte hain
log phunkon se Dara kar use KHush hote hain
jis ke qadmon tale tufan paDe rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.