aap jab se qarib aa baiThe
aap jab se qarīb aa baiThe
ranj-o-ġham duur ham se jā baiThe
fāsle kā kiyā ta.ayyun ḳhud
fāsla jaane kyoñ bhulā baiThe
baḌh gayā jab junūn vahshat meñ
saakh ulfat kī ham gañvā baiThe
raushnī kī talāsh meñ ḳhud hī
sham-e-hastī ko ham bujhā baiThe
chāñd ko chhūne kī tamanna meñ
apnī parvāz ham bhulā baiThe
kho.e kho.e se jab rahe tanhā
mahfil-e-ranj-o-ġham sajā baiThe
jab ta.alluq nahīñ rahā 'monis'
naqsh-e-māzī ko ham miTā baiThe
aap jab se qarib aa baiThe
ranj-o-gham dur hum se ja baiThe
fasle ka kiya tayyun KHud
fasla jaane kyon bhula baiThe
baDh gaya jab junun wahshat mein
sakh ulfat ki hum ganwa baiThe
raushni ki talash mein KHud hi
sham-e-hasti ko hum bujha baiThe
chand ko chhune ki tamanna mein
apni parwaz hum bhula baiThe
khoe khoe se jab rahe tanha
mahfil-e-ranj-o-gham saja baiThe
jab talluq nahin raha 'monis'
naqsh-e-mazi ko hum miTa baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.