aap jaison se wafa kar ke mila kuchh bhi nahin
aap jaisoñ se vafā kar ke milā kuchh bhī nahīñ
ḳhair aisī baat se mujh ko gila kuchh bhī nahīñ
tere jaate hī mire ghar ko udāsī khā ga.ī
ab yahāñ dīvār-o-dar ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham ḳhayāloñ meñ tere rahte haiñ jaise qaid meñ
kaun kahtā hai mohabbat kī sazā kuchh bhī nahīñ
maiñ to hijrat ke ḳhayāloñ se bhī Dar jaatā thā aur
ek vo jis ko bichhaḌne par huā kuchh bhī nahīñ
aap māneñ yā na māneñ aap kī marzī magar
aisā kahnā to ġhalat hai ki ḳhudā kuchh bhī nahīñ
mujh meñ se tujh ko ghaTāyā to pata hai kyā huā
mujh meñ se tujh ko ghaTāyā to bachā kuchh bhī nahīñ
us ke hone se añdherā chhaT sā jaatā thā 'vihān'
varna aisī chāñd rātoñ meñ rakhā kuchh bhī nahīñ
aap jaison se wafa kar ke mila kuchh bhi nahin
KHair aisi baat se mujh ko gila kuchh bhi nahin
tere jate hi mere ghar ko udasi kha gai
ab yahan diwar-o-dar ke siwa kuchh bhi nahin
hum KHayalon mein tere rahte hain jaise qaid mein
kaun kahta hai mohabbat ki saza kuchh bhi nahin
main to hijrat ke KHayalon se bhi Dar jata tha aur
ek wo jis ko bichhaDne par hua kuchh bhi nahin
aap manen ya na manen aap ki marzi magar
aisa kahna to ghalat hai ki KHuda kuchh bhi nahin
mujh mein se tujh ko ghaTaya to pata hai kya hua
mujh mein se tujh ko ghaTaya to bacha kuchh bhi nahin
us ke hone se andhera chhaT sa jata tha 'wihan'
warna aisi chand raaton mein rakha kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.