aap ka dil is tarah kyunkar hua
aap kā dil is tarah kyūñkar huā
mom thā kal aaj kyoñ patthar huā
sochiye to ye bhī koī baat hai
pūchhte haiñ haal kyoñ abtar huā
aañkh se jo karb kā qatra girā
ek beva ke liye gauhar huā
parvarish to us kī kī thī naaz se
mil ga.ī dul.han to vo bāhar huā
aaj mahñgā.ī ne be-bas kar diyā
mehmāñ aa.e ki dard-e-sar huā
maut kā us dam mujhe aaya yaqīñ
jab añdherā qabr ke andar huā
nekiyāñ merī unhoñ ne chhīn liiñ
aur maiñ rusvā sar-e-mahshar huā
ahl-e-europe kah rahe haiñ faḳhr se
dil munavvar diin meñ aakar huā
lauT kar kahte haiñ vo kis shaan se
jo bhī honā thā huā behtar huā
ruuh nikle sabz gumbad ke qarīb
hind meñ jiinā bhī mushkil-tar huā
kuchh to vus.at ho ga.ī hāsil 'habīb'
paañv phailāne ko apnā ghar huā
aap ka dil is tarah kyunkar hua
mom tha kal aaj kyon patthar hua
sochiye to ye bhi koi baat hai
puchhte hain haal kyon abtar hua
aankh se jo karb ka qatra gira
ek bewa ke liye gauhar hua
parwarish to us ki ki thi naz se
mil gai dulhan to wo bahar hua
aaj mahngai ne be-bas kar diya
mehman aae ki dard-e-sar hua
maut ka us dam mujhe aaya yaqin
jab andhera qabr ke andar hua
nekiyan meri unhon ne chhin lin
aur main ruswa sar-e-mahshar hua
ahl-e-europe kah rahe hain faKHr se
dil munawwar din mein aakar hua
lauT kar kahte hain wo kis shan se
jo bhi hona tha hua behtar hua
ruh nikle sabz gumbad ke qarib
hind mein jina bhi mushkil-tar hua
kuchh to wusat ho gai hasil 'habib'
panw phailane ko apna ghar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.