aap kā har ghaḌī ḳhayāl aa.e
kaash phir se vahī visāl aa.e
hausla ham ne bhī nahīñ haarā
jaan par to ka.ī vabāl aa.e
baat be-bāt ta.ana miltā thā
ham bhī har baat hañs ke Taal aa.e
un kī sūrat bhulā na paa.e ham
dil ke shīshe pe chāhe baal aa.e
hijr meñ un ke kab akele haiñ
paas apne ka.ī malāl aa.e
kitnī dilkash haiñ aap kī yādeñ
sher hoñToñ pe haiñ kamāl aa.e
ham se vo duur jā chuke haiñ 'gul'
pūchh kar koī un kā haal aa.e
aap ka har ghaDi KHayal aae
kash phir se wahi visal aae
hausla hum ne bhi nahin haara
jaan par to kai wabaal aae
baat be-baat tana milta tha
hum bhi har baat hans ke Tal aae
un ki surat bhula na pae hum
dil ke shishe pe chahe baal aae
hijr mein un ke kab akele hain
pas apne kai malal aae
kitni dilkash hain aap ki yaaden
sher honTon pe hain kamal aae
hum se wo dur ja chuke hain 'gul'
puchh kar koi un ka haal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.