aap ka jis raste mein naqsh-e-pa mil jaega
aap kā jis rāste meñ naqsh-e-pā mil jā.egā
tālib-e-manzil ko manzil kā pata mil jā.egā
jānte ho tum se mil kar kis ko kyā mil jā.egā
zindagī mil jā.egī aur mudda.ā mil jā.egā
aap kī dariyā-dilī par naaz farmā.eñge ham
jab hameñ apnī mohabbat kā sila mil jā.egā
mushkileñ hastī kī apnī kam se kam ho jā.eñgī
dostoñ jis din hameñ apnā pata mil jā.egā
shāḳh-e-gul kuchh is tarah katrī ga.ī haiñ dosto
agle mausam meñ koī pattā harā mil jā.egā
us ko paane ke liye ḳhud ko lagāo dosto
DhūñDne se aap ko be-shak ḳhudā mil jā.egā
aap ko vo bhuul jā.eñge zamāne kī tarah
jab unheñ 'mahmūd' koī dūsrā mil jā.egā
aap ka jis raste mein naqsh-e-pa mil jaega
talib-e-manzil ko manzil ka pata mil jaega
jaante ho tum se mil kar kis ko kya mil jaega
zindagi mil jaegi aur muddaa mil jaega
aap ki dariya-dili par naz farmaenge hum
jab hamein apni mohabbat ka sila mil jaega
mushkilen hasti ki apni kam se kam ho jaengi
doston jis din hamein apna pata mil jaega
shaKH-e-gul kuchh is tarah katri gai hain dosto
agle mausam mein koi patta hara mil jaega
us ko pane ke liye KHud ko lagao dosto
DhunDne se aap ko be-shak KHuda mil jaega
aap ko wo bhul jaenge zamane ki tarah
jab unhen 'mahmud' koi dusra mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.