aap ka samna jo kar baiThe
aap kā sāmnā jo kar baiThe
maut se peshtar hī mar baiThe
diid hogī to haal kyā hogā
ḳhvāhish-e-dīd pe sañvar baiThe
dil hai sayyāh āsmānoñ kā
ham agarche haiñ farsh par baiThe
phuul chāhat kā ik khilā aa.e
bazm meñ ham jidhar jidhar baiThe
shahr 'parvāz' jal chukā lekin
ham divāne haiñ be-ḳhabar baiThe
aap ka samna jo kar baiThe
maut se peshtar hi mar baiThe
did hogi to haal kya hoga
KHwahish-e-did pe sanwar baiThe
dil hai sayyah aasmanon ka
hum agarche hain farsh par baiThe
phul chahat ka ek khila aae
bazm mein hum jidhar jidhar baiThe
shahr 'parwaz' jal chuka lekin
hum diwane hain be-KHabar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.