aap kahte hain ki be-kar lahu rote hain
aap kahte haiñ ki be-kār lahū rote haiñ
ham to samjhe the samajhdār lahū rote haiñ
har dafa tum bhī tasavvur meñ chale aate ho
ham bhī phir TuuT ke har baar lahū rote haiñ
is se pahle ki nigal jaa.e mujhe bechainī
aa kahīñ baiTh ke ġham-ḳhvār lahū rote haiñ
surḳh āñkhoñ kā sabab kyā hai batā.eñ tum ko
dard hotā hai bahut yaar lahū rote haiñ
is kahānī kā nayā moḌ hai merā marnā
kyoñ kahānī ke ye kirdār lahū rote haiñ
daad dete haiñ jinheñ aap ḳhushī se uTh kar
fan ke parde meñ ye fankār lahū rote haiñ
ye bhī kaisā hī ajab scene hai jis meñ mil kar
saare ke saare adākār lahū rote haiñ
aap kahte hain ki be-kar lahu rote hain
hum to samjhe the samajhdar lahu rote hain
har dafa tum bhi tasawwur mein chale aate ho
hum bhi phir TuT ke har bar lahu rote hain
is se pahle ki nigal jae mujhe bechaini
aa kahin baiTh ke gham-KHwar lahu rote hain
surKH aankhon ka sabab kya hai bataen tum ko
dard hota hai bahut yar lahu rote hain
is kahani ka naya moD hai mera marna
kyon kahani ke ye kirdar lahu rote hain
dad dete hain jinhen aap KHushi se uTh kar
fan ke parde mein ye fankar lahu rote hain
ye bhi kaisa hi ajab scene hai jis mein mil kar
sare ke sare adakar lahu rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.