aap ke dil mein jazba mohabbat ka hai
aap ke dil meñ jazba mohabbat kā hai
kyā ye da.avā hai sachchā haqīqat kā hai
kis ko darkār daulat nahīñ āj-kal
jis ko dekho vahī bhūkā daulat kā hai
maut ke baad miT jā.egī qabr bhī
fā.eda kyā tirī aisī shohrat kā hai
is ko bāzār meñ lā ke rusvā na kar
martaba ūñchā har taur aurat kā hai
jo bhī dekhegā tujh ko taḌap jā.egā
dil-rubā husn terā qayāmat kā hai
apne hisse kī mehnat karo pahle tum
baad kā kaam phir saarā qismat kā hai
dosto ḳhidmat-e-ḳhalq karte raho
kaam ye bhī ḳhudā kī ibādat kā hai
aaj ke aadmī ko pata hī nahīñ
kyā taqāzā 'riyāz' ādamiyyat kā hai
aap ke dil mein jazba mohabbat ka hai
kya ye dawa hai sachcha haqiqat ka hai
kis ko darkar daulat nahin aaj-kal
jis ko dekho wahi bhuka daulat ka hai
maut ke baad miT jaegi qabr bhi
faeda kya teri aisi shohrat ka hai
is ko bazar mein la ke ruswa na kar
martaba uncha har taur aurat ka hai
jo bhi dekhega tujh ko taDap jaega
dil-ruba husn tera qayamat ka hai
apne hisse ki mehnat karo pahle tum
baad ka kaam phir sara qismat ka hai
dosto KHidmat-e-KHalq karte raho
kaam ye bhi KHuda ki ibaadat ka hai
aaj ke aadmi ko pata hi nahin
kya taqaza 'riyaz' aadamiyyat ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.