aap ke husn-e-mujassam ka asar dekhenge
aap ke husn-e-mujassam kā asar dekheñge
ya.anī barsāt meñ jaltā huā ghar dekheñge
TuuT kar apne bikharne kā amal kyā hogā
be-naqāb aap ko bas ek nazar dekheñge
apne ruḳhsār pe Dhalke hue aañsū mat poñchh
āriz-e-gul pe zarā barq-o-sharar dekheñge
vo agar ġhair ke pahlū meñ chalā jā.egā
ham bhī phir chāk-e-garebāñ kā asar dekheñge
aas ke diip bujhe jaate haiñ ab to aa jā
aur kab tak ye tirī rāhguzar dekheñge
barf sūraj kī hathelī pe sajā kar 'zāhid'
zindagānī kī haqīqat kā asar dekheñge
aap ke husn-e-mujassam ka asar dekhenge
yani barsat mein jalta hua ghar dekhenge
TuT kar apne bikharne ka amal kya hoga
be-naqab aap ko bas ek nazar dekhenge
apne ruKHsar pe Dhalke hue aansu mat ponchh
aariz-e-gul pe zara barq-o-sharar dekhenge
wo agar ghair ke pahlu mein chala jaega
hum bhi phir chaak-e-gareban ka asar dekhenge
aas ke dip bujhe jate hain ab to aa ja
aur kab tak ye teri rahguzar dekhenge
barf suraj ki hatheli pe saja kar 'zahid'
zindagani ki haqiqat ka asar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.