aap ke izn-e-mulaqat se ji Darta hai
aap ke izn-e-mulāqāt se jī Dartā hai
apne badle hue hālāt se jī Dartā hai
aap tajdīd-e-mohabbat kā na diije paiġhām
aap kī chashm-e-ināyāt se jī Dartā hai
kal ye 'ālam thā ki har baat pe hañs dete the
ab ye 'ālam hai ki har baat se jī Dartā hai
ham-nashīno zarā kuchh der mire saath raho
aaj tanhā.ī ke lamhāt se jī Dartā hai
dil meñ jab sozish-e-ġham aag lagā detī hai
chashm-e-afsurda kī barsāt se jī Dartā hai
chāhtā huuñ ki ye dil shahr-e-nigārāñ ho magar
itnī rañgīnī-e-jazbāt se jī Dartā hai
zaḳhm kuchh aur sulag jaate haiñ dil ke 'shāhid'
ab to is tāroñ bharī raat se jī Dartā hai
aap ke izn-e-mulaqat se ji Darta hai
apne badle hue haalat se ji Darta hai
aap tajdid-e-mohabbat ka na dije paigham
aap ki chashm-e-inayat se ji Darta hai
kal ye 'alam tha ki har baat pe hans dete the
ab ye 'alam hai ki har baat se ji Darta hai
ham-nashino zara kuchh der mere sath raho
aaj tanhai ke lamhat se ji Darta hai
dil mein jab sozish-e-gham aag laga deti hai
chashm-e-afsurda ki barsat se ji Darta hai
chahta hun ki ye dil shahr-e-nigaran ho magar
itni rangini-e-jazbaat se ji Darta hai
zaKHm kuchh aur sulag jate hain dil ke 'shahid'
ab to is taron bhari raat se ji Darta hai
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 27)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.