aap ke jitne mujh pe karam hain main jaanun ya dil jaane hai
aap ke jitne mujh pe karam hain main jaanun ya dil jaane hai
Hasrat Shadani
MORE BYHasrat Shadani
aap ke jitne mujh pe karam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
kitnī ḳhushī aur kitne ġham haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
ek taraf hai saarā zamāna ik jānib mujh sā dīvāna
kitne sitam bālā-e-sitam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
ahl-e-mohabbat ahl-e-zamāna ġham se pare ho kar chalte haiñ
aaj bhalā kyoñ vaqf-e-alam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
haal mirā jo aaj huā hai koī na samjhe koī na jaane
lab pe tabassum āñkheñ nam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
haa.e vo un kā tarz-e-takallum farmānā bā-mauj-e-tabassum
kal bhī ham the aaj bhī ham haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
aap kī ḳhātir jām-o-subū the aap to vaqf-e-rang-o-bū the
aaj magar kyoñ said-e-alam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
'hasrat' kī ġhazloñ ne āḳhir luuT liyā mahfil ko lekin
hazrat kaise ahl-e-qalam haiñ maiñ jānūñ yā dil jaane hai
aap ke jitne mujh pe karam hain main jaanun ya dil jaane hai
kitni KHushi aur kitne gham hain main jaanun ya dil jaane hai
ek taraf hai sara zamana ek jaanib mujh sa diwana
kitne sitam baala-e-sitam hain main jaanun ya dil jaane hai
ahl-e-mohabbat ahl-e-zamana gham se pare ho kar chalte hain
aaj bhala kyon waqf-e-alam hain main jaanun ya dil jaane hai
haal mera jo aaj hua hai koi na samjhe koi na jaane
lab pe tabassum aankhen nam hain main jaanun ya dil jaane hai
hae wo un ka tarz-e-takallum farmana ba-mauj-e-tabassum
kal bhi hum the aaj bhi hum hain main jaanun ya dil jaane hai
aap ki KHatir jam-o-subu the aap to waqf-e-rang-o-bu the
aaj magar kyon said-e-alam hain main jaanun ya dil jaane hai
'hasrat' ki ghazlon ne aaKHir luT liya mahfil ko lekin
hazrat kaise ahl-e-qalam hain main jaanun ya dil jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.