aap ke lab pe mera nam hai kya
aap ke lab pe merā naam hai kyā
aap ko mujh se koī kaam hai kyā
bas ḳhirad se du’ā-salām hai kyā
kuchh junūñ kā bhī intizām hai kyā
kyoñ bulāyā hai ham ko mahfil meñ
muflisoñ kā bhī ehtimām hai kyā
paañv paḌte nahīñ zamīñ pe tire
āsmāñ par tirā qiyām hai kyā
dard dene lagā hai lazzat kyoñ
dard kā āḳhirī maqām hai kyā
dil laraztā hai ab mohabbat se
ye mohabbat kā intiqām hai kyā
kis tarāzū meñ tū ne tol liyā
itnā nīchā hamārā daam hai kyā
aap ke lab pe mera nam hai kya
aap ko mujh se koi kaam hai kya
bas KHirad se du’a-salam hai kya
kuchh junun ka bhi intizam hai kya
kyon bulaya hai hum ko mahfil mein
muflison ka bhi ehtimam hai kya
panw paDte nahin zamin pe tere
aasman par tera qiyam hai kya
dard dene laga hai lazzat kyon
dard ka aaKHiri maqam hai kya
dil larazta hai ab mohabbat se
ye mohabbat ka intiqam hai kya
kis taraazu mein tu ne tol liya
itna nicha hamara dam hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.