aap ke ruKHsar angare nazar aane lage
aap ke ruḳhsār angāre nazar aane lage
ashk bhī TuuTe hue taare nazar aane lage
lāla-o-gul haiñ yaqīnan ḳhūn-e-nāhaq kī dalīl
jis taraf dekho jigar-pāre nazar aane lage
kal mujhe kāñToñ se nafrat gul se ulfat thī magar
aaj kāñTe bhī mujhe pyāre nazar aane lage
un ke raushan dil se merā dil munavvar ho gayā
is liye aib-o-hunar saare nazar aane lage
aa rahā hai is taraf shāyad koī sīmīñ badan
kyoñ ki ab pur-kaif nazzāre nazar aane lage
vo bhī hairāñ ho ga.e ashk-e-musalsal se mire
ḳhuun ke jab un ko favvāre nazar aane lage
bahr-e-zulmat par ziyā hone ko hai 'ḳhākī' tabhī
tīrgī maiñ nuur ke dhāre nazar aane lage
aap ke ruKHsar angare nazar aane lage
ashk bhi TuTe hue tare nazar aane lage
lala-o-gul hain yaqinan KHun-e-nahaq ki dalil
jis taraf dekho jigar-pare nazar aane lage
kal mujhe kanTon se nafrat gul se ulfat thi magar
aaj kanTe bhi mujhe pyare nazar aane lage
un ke raushan dil se mera dil munawwar ho gaya
is liye aib-o-hunar sare nazar aane lage
aa raha hai is taraf shayad koi simin badan
kyon ki ab pur-kaif nazzare nazar aane lage
wo bhi hairan ho gae ashk-e-musalsal se mere
KHun ke jab un ko fawware nazar aane lage
bahr-e-zulmat par ziya hone ko hai 'KHaki' tabhi
tirgi main nur ke dhaare nazar aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.