aap ke shahr mein bhaTkenge ya mar jaenge
aap ke shahr meñ bhaTkeñge yā mar jā.eñge
ham ko lagtā nahīñ ham lauT ke ghar jā.eñge
be-īmānī se pare duniyā banānī hai hameñ
ham na jā.eñge jidhar ahl-e-nazar jā.eñge
aap kā kyā hai kahīñ aur lagā leñgī dil
jān-e-man ye mire ash.ār kidhar jā.eñge
kyā kareñ itnī hasīñ hai tirī duniyā maulā
varna sochā to yahī thā ki sudhar jā.eñge
ham ne sochā thā yahī ham nahīñ socheñge kabhī
ab to lagtā hai isī soch meñ mar jā.eñge
itne ehsān to farhād ke 'ashraf' par haiñ
sab ko Dar hai ye jo kahte haiñ vo kar jā.eñge
aap ke shahr mein bhaTkenge ya mar jaenge
hum ko lagta nahin hum lauT ke ghar jaenge
be-imani se pare duniya banani hai hamein
hum na jaenge jidhar ahl-e-nazar jaenge
aap ka kya hai kahin aur laga lengi dil
jaan-e-man ye mere ashaar kidhar jaenge
kya karen itni hasin hai teri duniya maula
warna socha to yahi tha ki sudhar jaenge
hum ne socha tha yahi hum nahin sochenge kabhi
ab to lagta hai isi soch mein mar jaenge
itne ehsan to farhad ke 'ashraf' par hain
sab ko Dar hai ye jo kahte hain wo kar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.