aap ke wade kisi kal se bandhe rahte hain
aap ke va.ade kisī kal se bañdhe rahte haiñ
chāhne vaale usī pal se bañdhe rahte haiñ
tañg aa jaatī haiñ pallū se lagī girheñ bhī
kaise rishte haiñ jo malmal se bañdhe rahte haiñ
sub.h kī shabnamī palkoñ ko masalte hue haath
ik na.e ḳhvāb kī koñpal se bañdhe rahte haiñ
khaTTī mīThī sī koī baat laboñ meñ le kar
muñh ko Dhāñpe hue āñchal se bañdhe rahte haiñ
sirf mere hī bayābāñ pe paḌī os nahīñ
ashk dariyāoñ ke bādal se bañdhe rahte haiñ
shaam kī zulfeñ bikharne se ayaañ hotā hai
kitne jugnū haiñ jo kājal se bañdhe rahte haiñ
zindagī sone kī mohlat nahīñ detī hai 'diyā'
ḳhvāb ta.abīr ke āñchal se bañdhe rahte haiñ
aap ke wade kisi kal se bandhe rahte hain
chahne wale usi pal se bandhe rahte hain
tang aa jati hain pallu se lagi girhen bhi
kaise rishte hain jo malmal se bandhe rahte hain
subh ki shabnami palkon ko masalte hue hath
ek nae KHwab ki konpal se bandhe rahte hain
khaTTi miThi si koi baat labon mein le kar
munh ko Dhanpe hue aanchal se bandhe rahte hain
sirf mere hi bayaban pe paDi os nahin
ashk dariyaon ke baadal se bandhe rahte hain
sham ki zulfen bikharne se ayan hota hai
kitne jugnu hain jo kajal se bandhe rahte hain
zindagi sone ki mohlat nahin deti hai 'diya'
KHwab tabir ke aanchal se bandhe rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.