aap ki barhami ko aag lage
aap kī barhamī ko aag lage
yā mirī bebasī ko aag lage
mujh se dāman chhuḌā ke jaate haiñ
un kī is be-ruḳhī ko aag lage
zindagī aur vo bhī tere baġhair
phir to is zindagī ko aag lage
un ke aage zabāñ khulī na kabhī
merī is ḳhāmushī ko aag lage
dil-e-bulbul kā ḳhuun kar Daalā
phuul kī pankhuḌī ko aag lage
mujh ko 'fayyāz' kar diyā barbād
is ġham-e-āshiqī ko aag lage
aap ki barhami ko aag lage
ya meri bebasi ko aag lage
mujh se daman chhuDa ke jate hain
un ki is be-ruKHi ko aag lage
zindagi aur wo bhi tere baghair
phir to is zindagi ko aag lage
un ke aage zaban khuli na kabhi
meri is KHamushi ko aag lage
dil-e-bulbul ka KHun kar Dala
phul ki pankhuDi ko aag lage
mujh ko 'fayyaz' kar diya barbaad
is gham-e-ashiqi ko aag lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.