aap ki bas dua chahiye
aap kī bas du'ā chāhiye
kuchh na is ke sivā chāhiye
jo banā.e muqaddar hasīñ
maañ kī aisī du'ā chāhiye
apnī pahchān ke vāste
ek darpan nayā chāhiye
ham bhī tārīḳh kā baab the
bas usī kī sazā chāhiye
tum jahāñ saath meñ le chalo
saath apne ḳhudā chāhiye
kaam kī intihā ke liye
kaam kī ibtidā chāhiye
aur e'zāz baḌhte ga.e
jurm kī to sazā chāhiye
ham-safar hoñ agar aap bhī
aur 'ashraf' ko kyā chāhiye
aap ki bas du'a chahiye
kuchh na is ke siwa chahiye
jo banae muqaddar hasin
man ki aisi du'a chahiye
apni pahchan ke waste
ek darpan naya chahiye
hum bhi tariKH ka bab the
bas usi ki saza chahiye
tum jahan sath mein le chalo
sath apne KHuda chahiye
kaam ki intiha ke liye
kaam ki ibtida chahiye
aur e'zaz baDhte gae
jurm ki to saza chahiye
ham-safar hon agar aap bhi
aur 'ashraf' ko kya chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.