aap ki bas ye nishani rah gai
aap kī bas ye nishānī rah ga.ī
uljhanoñ meñ zindagānī rah ga.ī
jhuuT aayā sāmne sach kī tarah
duur rotī haq-bayānī rah ga.ī
jis ke do kirdār the tum aur maiñ
yaad mujh ko vo kahānī rah ga.ī
jis kā kah denā zarūrī thā bahut
baat vo tum ko batānī rah ga.ī
ḳhaak meñ lipTā huā bachpan gayā
karb meñ lipTī javānī rah ga.ī
umr guzrī hai ġhulāmoñ kī tarah
naam kī vo sirf raanī rah ga.ī
aap ki bas ye nishani rah gai
uljhanon mein zindagani rah gai
jhuT aaya samne sach ki tarah
dur roti haq-bayani rah gai
jis ke do kirdar the tum aur main
yaad mujh ko wo kahani rah gai
jis ka kah dena zaruri tha bahut
baat wo tum ko batani rah gai
KHak mein lipTa hua bachpan gaya
karb mein lipTi jawani rah gai
umr guzri hai ghulamon ki tarah
nam ki wo sirf rani rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.